Wednesday, 30 May 2018

HOW TO CRACK JOB INTERVIEW

         JOB  INTERVIEW KE LIYE KUCH IMPORTANT TIPS.                        

Hello friends,
INTERVIEW me jane se pahle kin important baato ka dhyan rakhna chahiye ya kis tarike se interview k liye tayaar hona chahiye ya phir interview me kon- kon se savaal puchh e jayenge, hum kar payenge ya nahi ye sab janne k liye har koi utsuk hota hai. hamara aaj ka article isi  vishay me hai. To 

1.  Interview k liye jane se pahle hame confident rahna chahiye but over-confidence nahi hona chahiye aur na hi nervous hona chahiye. Interview me jane k liye well dress up hona chahiye . FORMAL clothes pahanna best rahta hai. Rang-birange ya partywear  kapde nahi pahanne chahiye. Hamare kapado ka interview par kafi asar padta hai. Recruiters hamara dressing sence dekh kar hi samajh jate hai ki hum job ke layak hai ya nahi iseliye apna dressing scence acha rakhen aur formal kapade pahan kar interview k liye jaye. Interview me jayada tan kar ya jhuk kar nahi khada hona chahiye bilkul straight khada hona chahiye. Khade hote time jayada hilna-dulna ya taak-jhaank nahi karni chahiye.  or job interview ke liye time se 10 minute pahle pahuchna chahiye.  kabhi late nahi pahuchna  chahiye. You know that first impression is the best impression.





2.  INTERVIEW jobs ke pahle ka ahem hissha hota hai. Recruiters aapse questions karte hai aur isme kuch questions ase hote hai jo almost sabhi interviews me same hote hai. For example apne bare me bataeye, aap hamare company ke baare me kya janate ho, aapke professional strength kya hai aapki weakness kya hai, aap 5 years ke baad khud ko kahan dekna chahate hai , hum aapko hi job kyun de is taraha ke saval almost pucha jate hai. Isliye is taraha ke savalo ka javaab hame pahle se tayaar rakhna chahiye jisse aapka interview accha ho. Ye sabhi questions normal hai aur aapko inka seedha-sadha jawaab dena chahiye. Ise jayada lamba nahi kheechna chahiye, seedha aur satik jawaab dena chahiye.




3.  50% interviewers 2 minute me yah  samajh lete hai ki is candidate ko lena hai ya nahi isliye aapne confidence ko banaye rakheye.Most of the candidates k rejection ka kaaran over-confidence aur kharaab body language hota hai.Isliye hume pahale hi tyaari kar leni chahiye. So confident feel karen .aap apne face par halki smile rakhen. Handshake full confidence ke sath karen . 



4.  Asi  kai  cheeje hoti hai jinhe interviewers bina kuch pucche notice kar lete hai. Wo  aapke attitude ko samajh lete hai. Attitude me aapke baat karne ka tarika, khade hone ka tarika aur aapke pahne huae kapade hote hai. isliye jaldbaji na karen aur soch samajh kar interviewers k questions ka answer de. Jhayada utsukta me aap kuch galat na kah jaye is baat ka khayal rakhiye jaise ki company kon-kon se kaam karti  hai, mujhe salary kitni milegi, kitne din ka off milega, kaam karne ki jagah achchi nahi thi, main kab se join karoo etc. ese  sawaal nahi puchhne chahiye.Interviewer jab aapse kuch puchane ko kahe ki aapko hamse kuch pucchna hai to aapko ye kabhi nahi kahana chahiye ki mujhe kuch nahi pucchna hai is taraha ka jawaab nahi dena chahiye.


5.Agar aap pahle se hi kahin  job karte hai to , Jab aapka interviewer aapse puchhe ki aapki purani company kaisi hai, boss kaise hai,aap job kyun chhod rahe hai to aapko job badalne ki wajha asi  batani  chahiye jo positve impression dale na ki negative. Interview ke doraan thodi ghabarahat to hoti hi  hai par us time aap dawaab me na aaye aur khud par kabu rakhen  isi me aapki samajhdari aur bhalayi dono hai.(agar aap job karte hai to) Aapko apni purani company me tab tak new job ki information nahi deni chahiye  jab tak aapka  new job ka joining letter aapke hath me na aa jaaye.


I hope you like our artical and the all contents  of our blog, then please share it with your friends and family too.you can bookmark us by pressing ctrl+D key for more latest updates.

Thanks for visiting !! it's mine pleasure to see you again here. 

Tuesday, 29 May 2018

HOW TO CHOOSE CAREER OPTION

APNA CAREER KAISE CHOOSE KAREN SOME TIPS FOR YOUR BRIGHT FUTURE BY APNA TUTION.

Hello friends,

   Career choose karne se pahle kin baaton ka dhayan rakhana chahiye.  In todays time everyone thinks for their good or bright future.  But everyone is not capable of choosing a right career which is very important for a bright future.
Career har person k jeevan k pahalu se juda hota hai but kuch person ise apne life se jodate hai and learn something different from their work also.Yaha is vishay par hamne accha career banane k liye kuch sujhav diye  hai.
 Har koi apne career ka chayan sahi se nahi kar pata hai ya phir confuse hota hai ki koon se stream choose kare.Aur jab hame ase decisions lene hote hai ki career kaise banaya jaye tab ham iske liye tayaar nahi hote. Pahle time me aapas me discuss karke ek-dooshre ki raay lekar career ki stream chunte the par in dino students adhik jagruk ho gaye hai. Aaj k time me hame kaun sa career choose karna hai ye ham pahle internet par search karte hai ya phir google par ki career k best options kaun se hai.Parantu bado ki salah lena abhi bhi jaruri hai kyunki woh  hamse jayada experienced hai iseliye hame hamare career ko choose karte time bahut savdhan rahana chahiye.Aaj k time me koi bhi career option chuna ja sakta hai. Aapko apna career savdhani se chunana chahiye ye bhi aapke jeevan ke vibhinn pahaluo se juda hua hai. Hamare desh ki shiksha pranali ki bar-bar aalochna ki gayi hai phir bhi hum is baat se inkaar nahi kar sakte hai ki hamare desh k graduate or post graduate pure world k brands me jobs karne k jariye meel ka patdhar sabit ho rahe hai. Here are few tips for choosing your career:-

1.Jisme apko interest hai aap vahi career select karen. dooshron ki nakal na karen .Or apne liye sahi option hi choose karen . Aap doosare  logon ki tarah agar dekha -dekhi karenge to aapko baad me pachhtana pad sakta hai. isliye aapko jo sahi lage wahi karen.aapse jyaada aapke career ke baare me sahi dicision koi or nahi kar sakta hai. so apna confidence banaye rakhen.



2. Jis subject ya career  option me interest na ho uske bare me jayada nahi sochna chahiye. Or apne interest ke mutabik chalna chahiye . kyonki aap kisi other subject jisme aapka interest nahi hai usme aap kabhi successful  nahi ho sakte .Isliye aisa career option na choose karen.


3. apne sahulisat k hisab se career chune.Aap apne job k aalava part time job bhi chun sakte hai. yahan sahuliyat ka matlab hai ki kai baar hum aisa career option choose kar lete hai jise hum afford nahi kar paate hai .Jisse hum or jyaada tention me pad jaate hai. Isliye aap achchhe se soch samajh kar hi faishla karen.



4. apne aim k hisab se career chunna best rahta hai.Agar aap commerce pasand karte hai to commerce he le science,arts ya other subjects na le. kyunki koi other subject aap utne achchhe se handle nahi kar payenge  jitna achchhe se commerce ko kar payenge .Isliye commerce lene ka koi fayada nahi hoga kyunki aapka interest commerce me hai.


5.  Jab bhi career option choose karne ka time aaye to tention nahi lena chahiye or shoch - samajh kar sahi decision lena chahiye. kyunki tention ya jaldbaazi me aksar hum galat decision hi lete hai.


I hope you like our article and the all contents of our blog,  then please share it with your friends and family too. you can bookmark us by pressing ctrl+D key for more latest updates.


Thanks for visiting !! its mine pleasure to see you again here.

FOR IMPROVING YOUR ENGLISH TRY THESE 6 EASY DICTIONARY TIPS .

IF YOU WANT TO IMPROVE YOUR ENGLISH SO TRY THESE BEST DICTIONARY TIPS .

Hello friends,

English dictionary ko yaad karne ke asaan tarike . Yadi aap english words ko learn nahi kar paate to english ko yaad karne ka asaan tareeka hai ki aap daily english word meaning learn karen ;.



1. Sabse pahale aap tention na le ki mujhse ho payega ki nahi . jaise ki ek chhota bachcha dheere-dheere seekhta hai waise aap bhi slowly- slowly learn kar lenge. So lets chill or learn karna start karen.  aap ek shabd sheekh rahe hai,for e.g. success, successful, etc. To aap yahi par hi mat ruk jaiye dictionary ya internet ka use karen or aise hi samaan expression wale doosare shabd dekhiye .
jaise care ,careless ,careful . Ab aap ek hi shabd sheekh rahe hai,  hamne usi me kuch new words jod kar new words bana diye hai waise hi aap bhi alag -alag words me kuch words or jod kar new words bana sakte hai. So aap bhi ise jaroor try karen isse aapki english me kaafi improvment hogi.






2. English seekhne ke liye flash card banaiye . Ye bahut hi popular tareeka hai new words ko yaad karne ka . New words ko ek paper me likh kar rakhiye jisse aapke dwara seekhe hue new words  ko aap baar-baar bol saken . Jab bhi aap kuch bole to aap use apni bhasha me use karen jisse aap use asaani se learn kar sakte hai phir aapko uski habit ho jaayegi .Sabse jyada aap apni vocabulary par dhyaan de .


3. aap apne pass hamesha ek diary or ek pen rakhen or jab bhi koi new words sune use apni diary me note kar le . Jab bhi aapko time mile to use learn kar le . Isi tarah new words seekh kar aap kaafi had tak improvement kar sakte hai .Hamaari maatra bhasha hindi hai isliye aapko english seekhne me starting me thodi pareshaani ho sakti hai .But ghabraye nahi or try kartekarte rahe .


4. Aap apne mobile ya laptop me english game khelen  jaise ki scrabble . Ye aapki creativity ko badhayega or aapki english ko or strong banayega . Aap khud ka test beech -beech me lete rahen . Jisse aap jaan jayenge ki aapko kitna yaad hua hai .Aap padhane ke liye english reader ,literature , news paper , magazine  ka use karen  . isse aapki english bolne me help milegi .


5. English ko jyaada jaldi or achchhe se seekhne ke liye apne kisi friend ya family member ke saath english me baat karen . ek doosare ke saath get together bhi kar sakte hai . ya phir whatsaap ya facebook par chat bhi kar sakte hai .Apni awaaz record kar sakte hai or khud hi use sun kar  dekh sakte hai ki aap kis tareeke se english bol rahe hai . Agar kuch kami ho to use sudhaar sakte hai .Aap har baar alag topic par english me baat karen . Jisse aapke english bolne or samajhane me 100% kaam aayega .

6. aap hindi se english me translate kijiye . Koi ek word agar yaad nahi hota hai to hindi se english me meaning nikaliye . Aisa karna aapke liye kaafi helpful ho sakta hai . Because aap hindi se hi english seekhenge . Yadi aap english nahi seekh pa rahen hai to ye tips aapke bahut kaam aa sakte hai . Aap in tips ko yaad rakhiye  isse english words ko learn karne me asaani hogi .

 I hope you like our article and the all contents of our blog ,then please share it with your friends and family too. you can bookmark us by pressing ctrl+ D key for more latest updates .

thanks for visiting !! its mine pleasure to see you again here. 

Sunday, 27 May 2018

6 Easy tips for Child Learning

PADHAI ME MAN LAGNE KE AASAN UPAYE-

Aapka swagat hai hamare new blog par jahan apko milenge apke bachho ke liye study tips or unka confidence level badhane ke tarike.

 


Padhai me jyaada der  man na lagne ki samasya student hi nahi balki government job ki tayaari karne vaalon ki bhi hoti hai 

 Dosto kya aap jaante hai,  ki bachche ka man padhai me nahi lagta hai to kuch aise upaye hai aur aasan bhi hai jisse aisa chamatkaar ho sakta hai,ki aapka bachcha padhane me hoshiyaar ho jaaye aur first bhi aane lage or anya activity me bhi interest lene lag jaaye. Kayi bar bachche yaad to kar lete hai par unke number achche nahi aate hai . jitni wo mehnat karte hai jabki un bachcho ke number unse jyada hote hai jo class me padhai me achche nahi hote  to aaiye jaante hai un upaaye ke bare me jisse aapke number aapki mehnat ke anusaar aaye or aap bhi class me top kar saken .  

Apki jyadatar shikayat hoti hai ki hame padha hua yaad nahi rahta to padhai yaad karne ka saral tareeka ;

1. Morning m uth kar yoga karne se dimaag shaant rahta hai. or shaant dimaang se padhai karne se padha hua lambe time tak yaad rahta hai. So morning m uth kar roj yoga kijiye to aapko jaroor yaad rahega .







2. Aap thoda thoda karke padhai karen .ek hi time me jyaada padhai na karen,  kai baar ek hi time me jyaada padhai karne se humara dimaang use theek se samajh nahi pata or hum use jyaada time tak yaad nahi rakh paate isliye hume thoda thoda karke padhai karni chahiye wo bhi thode thode samay ke baad isse hum jyaada or asaani se yaad rakh payenge .khaali samay me aap apni pasand ki activity karen isse aapka mann khush hoga . or khush man se ki gayi padhaayi humesha yaad rahti hai




3. Agar sambhav ho to padhai karte samay apne kisi dost ko sath me padhane ke liye kah sakte hai kyunki jab do log  sath mill kar padhayi karte hai to  achche se yaad hota hai or padhane me man bhi lagta hai. Samne jab koi padhta hai to padhne me bhi achcha lagta hai agar ho sake to padhne ke liye apne kisi classmate ko invite kare or sath baith kar padhai karen classmate apse jyada hosiyaar hona chahiye. Aap chahen to padhai ke beech me compitition bhi kar sakte hai aisa karne se karya me dilchaspi badhne lagegi .





4. Padhte samay mobile ko khud se door rakhen. Agar aap dhayaan purvak kuch padh rahe hai or mobile ki ring baje to aapka dhayaan padhayi se hat jaata hai isliye padhate samay mobile ko silent mode par rakhen or padhai me dakhal na padne de .



5. Jyada der tak padhai kane se tanaav hone lagta hai isliye  hume beech beech me break lena chahiye agar aapko padhai karte hue 1-1.5 hour ho chuka hai to aapko beech me 10-5 minute ka break lena chahiye. Padhayi karne ke baad aap kuch time ke liye ek shaant jagah par baith jaayiye  or araam se man hi man revision kijiye ki aapne jo padha hai wo aapko kitna yaad hai. Aap khud se hi puchhiye ki aapne kitna  padh liya hai or kitni jaroorat hai or padhai karne ki .



6.  Jab bhi aap exam dene jao to relax raho, Apko hyper hone ki avashyakta nahi hai or exam me question ka answer wahi do jo jo aapne padha hai .wo bhi apne sabdon me kyunki exam check karne wala irritate ho jaata hai , kyunki usko lagta hai ki aapne copy kiya hai so book ka as it is na likh kar apne words me likho jisse exam check karne wala impress ho or aapko good marks de jo aap deserve karte ho.



Thank You for giving your time to us !! We'll happy to see you back here.
So bookmark our website for updates.