APNA CAREER KAISE CHOOSE KAREN SOME TIPS FOR YOUR BRIGHT FUTURE BY APNA TUTION.
Hello friends,Career choose karne se pahle kin baaton ka dhayan rakhana chahiye. In todays time everyone thinks for their good or bright future. But everyone is not capable of choosing a right career which is very important for a bright future.
Career har person k jeevan k pahalu se juda hota hai but kuch person ise apne life se jodate hai and learn something different from their work also.Yaha is vishay par hamne accha career banane k liye kuch sujhav diye hai.
Har koi apne career ka chayan sahi se nahi kar pata hai ya phir confuse hota hai ki koon se stream choose kare.Aur jab hame ase decisions lene hote hai ki career kaise banaya jaye tab ham iske liye tayaar nahi hote. Pahle time me aapas me discuss karke ek-dooshre ki raay lekar career ki stream chunte the par in dino students adhik jagruk ho gaye hai. Aaj k time me hame kaun sa career choose karna hai ye ham pahle internet par search karte hai ya phir google par ki career k best options kaun se hai.Parantu bado ki salah lena abhi bhi jaruri hai kyunki woh hamse jayada experienced hai iseliye hame hamare career ko choose karte time bahut savdhan rahana chahiye.Aaj k time me koi bhi career option chuna ja sakta hai. Aapko apna career savdhani se chunana chahiye ye bhi aapke jeevan ke vibhinn pahaluo se juda hua hai. Hamare desh ki shiksha pranali ki bar-bar aalochna ki gayi hai phir bhi hum is baat se inkaar nahi kar sakte hai ki hamare desh k graduate or post graduate pure world k brands me jobs karne k jariye meel ka patdhar sabit ho rahe hai. Here are few tips for choosing your career:-
1.Jisme apko interest hai aap vahi career select karen. dooshron ki nakal na karen .Or apne liye sahi option hi choose karen . Aap doosare logon ki tarah agar dekha -dekhi karenge to aapko baad me pachhtana pad sakta hai. isliye aapko jo sahi lage wahi karen.aapse jyaada aapke career ke baare me sahi dicision koi or nahi kar sakta hai. so apna confidence banaye rakhen.
2. Jis subject ya career option me interest na ho uske bare me jayada nahi sochna chahiye. Or apne interest ke mutabik chalna chahiye . kyonki aap kisi other subject jisme aapka interest nahi hai usme aap kabhi successful nahi ho sakte .Isliye aisa career option na choose karen.
3. apne sahulisat k hisab se career chune.Aap apne job k aalava part time job bhi chun sakte hai. yahan sahuliyat ka matlab hai ki kai baar hum aisa career option choose kar lete hai jise hum afford nahi kar paate hai .Jisse hum or jyaada tention me pad jaate hai. Isliye aap achchhe se soch samajh kar hi faishla karen.
4. apne aim k hisab se career chunna best rahta hai.Agar aap commerce pasand karte hai to commerce he le science,arts ya other subjects na le. kyunki koi other subject aap utne achchhe se handle nahi kar payenge jitna achchhe se commerce ko kar payenge .Isliye commerce lene ka koi fayada nahi hoga kyunki aapka interest commerce me hai.
5. Jab bhi career option choose karne ka time aaye to tention nahi lena chahiye or shoch - samajh kar sahi decision lena chahiye. kyunki tention ya jaldbaazi me aksar hum galat decision hi lete hai.
I hope you like our article and the all contents of our blog, then please share it with your friends and family too. you can bookmark us by pressing ctrl+D key for more latest updates.
Thanks for visiting !! its mine pleasure to see you again here.
No comments:
Post a Comment