PADHAI ME MAN LAGNE KE AASAN UPAYE-
Aapka swagat hai hamare new blog par jahan apko milenge apke bachho ke liye study tips or unka confidence level badhane ke tarike.
Padhai me jyaada der man na lagne ki samasya student hi nahi balki government job ki tayaari karne vaalon ki bhi hoti hai
Dosto kya aap jaante hai, ki bachche ka man padhai me nahi lagta hai to kuch aise upaye hai aur aasan bhi hai jisse aisa chamatkaar ho sakta hai,ki aapka bachcha padhane me hoshiyaar ho jaaye aur first bhi aane lage or anya activity me bhi interest lene lag jaaye. Kayi bar bachche yaad to kar lete hai par unke number achche nahi aate hai . jitni wo mehnat karte hai jabki un bachcho ke number unse jyada hote hai jo class me padhai me achche nahi hote to aaiye jaante hai un upaaye ke bare me jisse aapke number aapki mehnat ke anusaar aaye or aap bhi class me top kar saken .
Apki jyadatar shikayat hoti hai ki hame padha hua yaad nahi rahta to padhai yaad karne ka saral tareeka ;
1. Morning m uth kar yoga karne se dimaag shaant rahta hai. or shaant dimaang se padhai karne se padha hua lambe time tak yaad rahta hai. So morning m uth kar roj yoga kijiye to aapko jaroor yaad rahega .
2. Aap thoda thoda karke padhai karen .ek hi time me jyaada padhai na karen, kai baar ek hi time me jyaada padhai karne se humara dimaang use theek se samajh nahi pata or hum use jyaada time tak yaad nahi rakh paate isliye hume thoda thoda karke padhai karni chahiye wo bhi thode thode samay ke baad isse hum jyaada or asaani se yaad rakh payenge .khaali samay me aap apni pasand ki activity karen isse aapka mann khush hoga . or khush man se ki gayi padhaayi humesha yaad rahti hai
3. Agar sambhav ho to padhai karte samay apne kisi dost ko sath me padhane ke liye kah sakte hai kyunki jab do log sath mill kar padhayi karte hai to achche se yaad hota hai or padhane me man bhi lagta hai. Samne jab koi padhta hai to padhne me bhi achcha lagta hai agar ho sake to padhne ke liye apne kisi classmate ko invite kare or sath baith kar padhai karen classmate apse jyada hosiyaar hona chahiye. Aap chahen to padhai ke beech me compitition bhi kar sakte hai aisa karne se karya me dilchaspi badhne lagegi .
4. Padhte samay mobile ko khud se door rakhen. Agar aap dhayaan purvak kuch padh rahe hai or mobile ki ring baje to aapka dhayaan padhayi se hat jaata hai isliye padhate samay mobile ko silent mode par rakhen or padhai me dakhal na padne de .
5. Jyada der tak padhai kane se tanaav hone lagta hai isliye hume beech beech me break lena chahiye agar aapko padhai karte hue 1-1.5 hour ho chuka hai to aapko beech me 10-5 minute ka break lena chahiye. Padhayi karne ke baad aap kuch time ke liye ek shaant jagah par baith jaayiye or araam se man hi man revision kijiye ki aapne jo padha hai wo aapko kitna yaad hai. Aap khud se hi puchhiye ki aapne kitna padh liya hai or kitni jaroorat hai or padhai karne ki .
6. Jab bhi aap exam dene jao to relax raho, Apko hyper hone ki avashyakta nahi hai or exam me question ka answer wahi do jo jo aapne padha hai .wo bhi apne sabdon me kyunki exam check karne wala irritate ho jaata hai , kyunki usko lagta hai ki aapne copy kiya hai so book ka as it is na likh kar apne words me likho jisse exam check karne wala impress ho or aapko good marks de jo aap deserve karte ho.
Thank You for giving your time to us !! We'll happy to see you back here.
So bookmark our website for updates.

It's really good
ReplyDelete